› Shayari SMS

1  2  3  4  5  6  7  8  9  
10  11  12  13  14  15  16  17  18  19  
20  21  22  23  24  25  26  27  28  29  
30  31  32  33  34  35  

Tu itni khubsurat hai aye jane Gazal



Tujh pe likhna shuru kahan se karu,

Ada se karu ya haya se karu.

Tu itni khubsurat hai aye jane Gazal,

Mumkin hai teri tarif zubaa se karun.



Tu hi to hai jaan meri



Roti huyi aankho se tujhe muskan kaise du
Anjaan hu khud tujhe pehchan kaise du
Tu hi to hai jaan meri
Tu hi bata tujhe apni jaan kaise du.



Tum ko to meri jan haraya nahi jata



Ghar mom ka pahlay to banaya nahi jata,
ban gayay to sooraj say bachaya nahi jata,
ab tum ho muqabil to mujhay harna hoga,
tum ko to meri jan haraya nahi jata ……..



Insan ki Jan Sasti He



Maa Bache Baich rahen hn Kaisi Tangdasti He

Ata Chawal Mehnge Hen, Insan ki Jan Sasti He

Hakumat Ko Ghurbat Ka Pta nhi

Kitna Afsos Hota he jb Bhook Dasti Hy



Ae yaad e yaar



Kya log they ke jaan se barrh kar aziz they
Ab dil se kahu naam bhi aksar ke kho gaye
Ae yaad e yaar tujh se karein kya shikayatein
Ae dard e hijr hum bhi to pathar ke ho gaye



Aao Dosti ker lain



Mustakil is jahan main tum bhi nahin.
Mustakil is jahan main hum bhi nahin.
Na musarrat hi mustakil hai yahan.
Mustakil is jahan main Ghum bhi nahin.
Phir adawat hi mustakil hi kyoun ho.
Aao kuch is tarha na ker dekhen.
In andheron main roshni ker lain.
Aao Dosti ker lain.
Aao Dosti ker lain.



Dil se yaad karte hai



Zubaan se tumhe keh nahi sakte
Isliye hmesha khuda se Fariyaad karte hai
Jab bhi tumhara Dil jor se dhadke
Samajh Lena hum tumhe
Dil se yaad karte hai.



Mujh ko MAIRI JAAN bulata hai koi



Deeiray dheeray dil main utarta jata hai koi,
Mujh ko MAIRI JAAN bulata hai koi,
Main toot ke bikhar jaon, ye mumkin nahi,
Boht piyar se sath apne mujhe sulata hai koi………



Raaz-e-dil na sunana kisi ko



Raaz-e-dil na sunana kisi ko Rustam,
Dunyan k sab hamraaz badal jate hain.
Kisi ki duri se koi mar nai jata,
Han magar jeenay k andaaz badal jatey hain



Hum aapko yaad kiya karte hain



pahonch hai humari chand tak,
ye taare bhi salam kiya karte hai ,
ye aasma bhi jhuk jata hai….
jab hum aapko yaad kiya karte hain.



1  2  3  4  5  6  7  8  9  
10  11  12  13  14  15  16  17  18  19  
20  21  22  23  24  25  26  27  28  29  
30  31  32  33  34  35