› Shayari SMS
1 2 3 4 5 6 7 8 910 11 12 13 14 15 16 17 18 19
20 21 22 23 24 25 26 27 28 29
30 31 32 33 34 35
Na janay kion
Na janay Q hamain ansu bahana nahin aata,
Na janay kion haal-e-dil batana nahin aata,
Kion sathi bichar jatay hain hamaisha hum se,
Shayud hamain hi dosti nibhana nahin aata…
unka intezaar kia karain
Zakham itnay gehray hain izhaar kia karain,
Hum khud nishana ban gaye hain waar kia karain,
Mar gaye ham magar khuli rahein aankhain,
Ab is say ziyadah unka intezaar kia karain…
Is hawa me khushbu hai tumhari
Is hawa me khushbu hai tumhari,
is chand ki roshni me surat hai tumhari.
Is dil sey jo mar kar b juda na ho sakay
woh sirf aur sirf dosti hai tumhari.
Rootho Gi To Manaoun Ga
Yaad Na Karo Gi To Sataoun Ga
Rootho Gi To Manaoun Ga
Ro Gi To Hasaoun Ga
Dost Hoon Mein Tumhara Saaya Nahin
Jo Andhere Mein Saath Chor Jaoun Ga
Kis kadar Khub hai dilagi aapki
Kis kadar Khub hai dilagi aapki,
aaj bhi dil basi hay Mohabat aap ki,
jab bi fursat ke lamhe Mile hame dil ne mahsoos ki hay kami aap ki.
Tumhari sath ki umeed
Raat ki tanhai se darte hai hum,
kagaz ki parchhai se darte hai hum,
Duniya sath chale na chale,
tumhari sath ki umeed karte hai hum
Dosti Ho gayi hai is Kadar aapse
Kya Kahe ki Kuch Kaha Nahi jaata,
Dard-Meetha hai par Saha Nahi jaata,
Dosti Ho gayi hai is Kadar aapse ki,
Bina yaad kiye Raha Nahi jata?
Na mile kisi ka saath toh
Na mile kisi ka saath toh hume yaad karna,
Agar tanha ho kabhi tho mehsus hume karna
Khushiya baatne ko tum dost hazaar rakhna,
Magar gham batna ho toh hume yaad karna.
Keh sakain jise hum dil se apna
Kab maine kaha ki Chandi aur Sona chahiye,
Bas aap ke dil mein ek chota sa kona chahiye,
Keh sakain jise hum dil se apna,
Aisa bhi to koi dost hona chahiye.
Kaash main chand tuu taara hota
Kaash main chand tuu taara hota,
Falak pey ek aashiyana hamara hota,
Sub tujhey door bohut door sey daikha kertay,
Par tujhey milnay ka haq sirf hamara hota
1 2 3 4 5 6 7 8 9
10 11 12 13 14 15 16 17 18 19
20 21 22 23 24 25 26 27 28 29
30 31 32 33 34 35