› Shayari SMS
1 2 3 4 5 6 7 8 910 11 12 13 14 15 16 17 18 19
20 21 22 23 24 25 26 27 28 29
30 31 32 33 34 35
Hum jise chahete hai
Sirf chahne se mulakat nahi hoti,
Suraj k saath kabhi raat nahi hoti,
Hum jise chahete hai jaan se bhi ziyadah,
Saamne hote hain, par baat nahi hoti.
Zindagi mohtaj nahi manzilon ki
Zindagi mohtaj nahi manzilon ki,
Waqt har manzil dikha deta hai.
Marta nahi koi kisi se juda hoke,
Waqt sabko jina sikha deta hai.
In hoto pe sada muskaan wohi rakhna
Nannay sey dil me armaan koi rakhna,
Duniya ki bheer main pehchan koi rakhna.
Achey nahi lagtey jab rahtey ho udas,
In hoto pe sada muskaan wohi rakhna.
Dil ko sambhal kar rakhna
Zindagi kisi ki amanat nahi hoti,
Amanat main kabhi kayamat nahi hoti,
Dil ko sambhal kar rakhna,
Meri dosti ki qaid main zamanat nahi hoti.
Aankhon ki zuban
Aankhon ki zuban woh samajh nahin patay,
Hont magar kuch bhi keh nahin paatay,
Apni bay basi kis tarah kahain,
Koi hay jis k bina hum rah nahin patay.
Pyaar nahin kia apna dil diya hay
Jaisay aap hamaray na ho sakay thay
Hum kisi aur k na ho sakain gay,
Pyaar nahin kia apna dil diya hay
Ek pal bhi aap ko bhula na sakain gay…
Tumhare shahar ka mousam
Tumhare shahar ka mousam bada suhana lagay,
Main ek shaam chura loon agar bura n lagay,
Aap chahay bhula dain hamain ek pal main hi,
Aapko bhulanay main shayud hamain zamana lagay…
Apnay dushman say hi dil laga baithay
Apnay dushman say hi dil laga baithay,
Unki saadgi say faraib kha baithay,
Patharon say tha apna rishtaa,
Phir bhi sheeshay k ghar bana baithe..
Na neend ayai na khuwab koi
Bohat khushnuma kal ki raat guzri hai,
Kuch tanha, per kuch khaas guzri hai,
Na neend ayai na khuwab koi,
Bus aap hi k khayalon k saath guzri hai,
kya ek baar bhi meri yaad nahi aayi
Badal garaja magar barsaat nahi aayi,
Dil dharka magar aawaz nahi aayi,
Pura din guzarane ko hai dost,
kya ek baar bhi meri yaad nahi aayi?
1 2 3 4 5 6 7 8 9
10 11 12 13 14 15 16 17 18 19
20 21 22 23 24 25 26 27 28 29
30 31 32 33 34 35