› Shayari SMS

1  2  3  4  5  6  7  8  9  
10  11  12  13  14  15  16  17  18  19  
20  21  22  23  24  25  26  27  28  29  
30  31  32  33  34  35  

Hasrat hai apko sacha dost banane ki



Hasrat hai apko sacha dost banane ki,
or khwahish nahi kuch pane ki,
shikwa humse nahi khuda se karo,
kya zarurat thi apko itna acha banane ki,,,,



Aaj Tanha Hay To



Woh Parinda Jisay Parwaaz Se Fursat He Na The…

Aaj Tanha Hay To Dewaar Pe Aa Baitha Ha…



Sari Haqeqaton Ko Khuwab Kar Kay



Sari Haqeqaton Ko Khuwab Kar Kay
Umar Bhar Ki Khushiyoun Ko Sarab Kar Kay
Badal Gaya Hai Woh Chahaton Say
Meri Aadaton Ko Kharab Kar Kay



Benaam Ban Ke Mila Karo



Na Khas Ban Ke Mila Karo…. Na Aam Ban Ke Mila Karo….
Mujhe Meri Tarha Se Tum…… Benaam Ban Ke Mila Karo…….
Mana Ke Ye Faraib Hai ……….. Ye Faraib Bhi DilFaraib hai…….
Sehraoun ke Sarab Mein…….. Tum Sham ban ke mila karo……
Gar Janchna Ho Dard Ko………. Gar Dekhna Ho Tarp Ko……….
Mujhay Tashnagi ke Alam ain.. TUM jam ban kar mila karo….



Rulaoo gay humko



Sataoo gay humko..Rulaoo gay humko..
magar kis tarha bhula paoo gay humko?
Khuda janay kaisa haal hoga..
Jab kafan main lipta hua paoo gay humko….



jab Aglay Saal Yahi Waqt Aaraha Hoga



jab Aglay Saal Yahi Waqt Aaraha Hoga

Tu Meray Samne Bethi Hai Aur Main Sochta Hun

Yahi Chamakte Huay Pal Duwaan Duwaan Hon gay

Lahu Rulayay Ga Woh Dhoop Chaoun Ka Manzar

Yahi Jaga Jahan Ajj Hum Mil Bathay Hain

Tu Phir Milay Ga To Kitna Badal Chuka Hoga



waffa karne wale kabhi marte nahi



Pyaar karne wale kisi se darte nahi
waffa karne wale kabhi marte nahi
bohat koshish ki humnein pyaar jatane ki
eik tum ho ke mera yakeen karte hi nahi



Mere haathon se gir gayi lakeeren kahin



Mere haathon se gir gayi lakeeren kahin,
Bhool aaye hum apni takdeeren kahin,

Agar mile tumko kahin to utha lena,
Mere hisse ki har khushi apne haathon pe saja lena



kisi ki khatir mohabbat ki inteha kardo



kisi ki khatir mohabbat ki inteha kardo,
par itna bhi nahi ki us ko khuda kardo,
mat chaho kisi ko tut kar itna bhi,
ki apni hi wafaon se us ko bewafa kardo



Sapne saare tod kar beithe hai



Sapne saare tod kar beithe hai
dil ka armaan chod kar beithe hai
na kijiye humse wafa ki baatein
abhi-abhi dil ke tukde jod kar beithe hai



1  2  3  4  5  6  7  8  9  
10  11  12  13  14  15  16  17  18  19  
20  21  22  23  24  25  26  27  28  29  
30  31  32  33  34  35  

 

picture upload image hosting mobil Mobil New Peak Life 5w50 5w40 5w30 Netbook games games for netbooks