› Gazal SMS

1  2  3  4  

Baton say gham kam naheen hotey



Baton say bhee yeh gham kyon kam naheen hotey
Aansuon sey dil k koney nam naheen hote

Thee bahut umeed to apnon sey is dil ko kabhee
Par hameshaa saath ye hamdam naheen hote

Bebasee hansne lagee khaamoshi ab hai goonjtee
Band kamron men koyee mausam naheen hote


Tanhaaiyun ka silsila reh jaayega



Be-karaan tanhaaiyun ka silsila reh jaayega
Terey merey darmiyaan bas ek khalaa reh jaayega

Aks beh jaayenge saarey dhoop ke sailaab mein
Aur koye paaniyoun mein jhaankta reh jaayega


Yeh dil tou hay nadaan laikin



Youn to shikayat khud say roz kia kertay hain,
Shaam hotay hi khud ko rok lia kertay hain

Jaisay mujrim hay bina jurm karay koi,
Aisa woh hum say sulook rawan rakhtay hain,

Ho na jayai kahin un ka dedar hamain,
Is liyay chehray ko chupa rakhtay hain,


ek chota sa sapna tha



ek chota sa sapna tha
us sapne mein koi apna tha
us apne mein kuch sakoon tha
jo zindagi ka junun tha
us junoon mein ek rahat thi
jo sirf teri chahat thi
us chahat mein ek andaz tha
jo meri dhadkano ka raaz tha
us raaz mein ek khushbo thi

Kuchh adhuri khwahishon ka silsila



Kuchh adhuri khwahishon ka silsila hai zindagi,
Manzilon se ek musalsal fasala hai zindagi !

Mere darwaze pe dastak de ke chhup Jane ka khel,
Kab talak khelegi eh kya bachpana hai zindagi !

Tere afsane to mai sunta raha Hun baraha,
Naam kya tune kabhi mera suna hai zindagi !


Mushkilon ko karta Jo aasan hai



Mushkilon ko karta Jo aasan hai,
WO asal me hi to ek insan hai !

Gham se ghabara ke Jo himmat chhod de,
Buzdili ki uski to pahchan hai !

Zindagi hai ek dariya dard ka,
Dard se khele wahi insan hai !


wo meri udasi ka sabab janta hai



Jo bhi is dil pe guzarti hai wo sab janta hai,
Koi jaane ke na jane mera rab janta hai !

Jaaney kab usko faqiron pe taras aajye,
Kuchh milega e mera daste talab janta hai !

Hazaar bar usse tod ke aajaun mai rita,
Magar wo hamko bulane ka hunar janta hai !


khusboo ban ke dil me bas gaya hai



Jo khusboo ban ke dil me bas gaya hai,
Khuda jaane woh mujhse kyon khafa hai !

WO chehra gam se kumhlane na paye,
Mere hoton pay ab bhi ye duaa hai !

Tabassum hai labon pe dil me nafarat,
Yahi iss daur ka nakse wafa hai !


Bewafa waqat se wafa mange



Bewafa waqat se wafa mange,
Chhod! e dost tu e kya mange !

Doston se bhi dil nahi barham,
Bas isi zurm ki saza mange !

Maut aaye to zindagi chahe,
Zindagani me jo kaza mange !


Kisi ke kam na aaye



Kisi ke kam na aaye wo zindagi kya hai,
Adab jisme na ho shamil wo bandagi kya hai !

Mahaz tarkon se dalilon sey bat banti nahi,
Wazan jisme na shagufta wo bat hi kya hai !

Unche mahalon me guzar karte hai jehan roshan,
WO kya samjhege muflison ki muflisi kya hai !


1  2  3  4