› Funny Shayari
1 2 3 4 5 6 7 8 910 11 12 13 14 15
Us nay kaha kon ho Tum
Us nay kaha kon ho Tum?
Main nay kaha Hasrat Tumari
Us nay kaha Taktey ho kya?
Main nay kaha Surat Tumhari
Us ne kaha kartey ho kya?
Main nay kaha Pooja Tumhari
Susti bhare jism ko jagate kyun nahi
Susti bhare jism ko jagate kyun nahi,
Uth kar sab k saamne aate kyo nahi,
Msg bhi tumhara smell marta hai,
Thodi himmat kar k NAHATE kyun nahi…
Tu dil mange me dil dedon
Tu chand mangay main chand dedon,
tu raat mangay me raat dedon,
tu dil mange me dil dedon,
tu jaan mange
.
.
.
Bas yaar Bhik mangnay ki bhi ek limit hoti hai..
Mosam shabab ka
Mosam shabab ka
nasha sharab ka
parda janab ka
aur rang gulab ka
in main sab sey haseen to dekho
sms parhne wala “mendak talab ka”
sms ki factory laga rakhi hai
Apne roz humse nai umeed laga rakhi hai,
apne dil me asha ki KIRAN jaga rakhi hai,
hum roz kahan say naye msgs bhejen,
hum ne kya sms ki factory laga rakhi hai.
Woh gori hai uski zulfe hain kali
Woh gori hai uski zulfe hain kali,
Wo Pari hai ya Pariyo ki Rani,
Uski har baat hai nirali,
Par kya karu yaaro wo larki kisi aur ne pata li
jab sey tumhain paaya hai
Jab sey tumhain jana hai,
jab sey tumhain paaya hai,
har dua mein tera naam aaya hai,
Ta k poochhu rab say
.
.
.
.
ki yeh kaisa namoona banaya hai :D
Sote hue ko jagayenge hum
Sote hue ko jagayenge hum,
Aap ki ninde churayenge hum,
Har waqt sms kar satayenge hum,
Aap ko aayega ghussa lekin us
Ghusse me hi yaad to aayege hum.
Goodnight!
twinkle Twinkle little star
twinkle Twinkle little star,
teri girl friend gaye bazar,
us ko mil gaya MAJNO ka pyar,
ab tu beth ker makhiyan maaar
Hum ho gaye tumhare
Hum ho gaye tumhare tumhe sochne k bad,
Ab na daikhen gay kisi ko tumhe daikhne k bad,
Dunya chor dain gai tumhai chorne k bad,
KHUDA! Maaf kare itne jhut bolne k bad
1 2 3 4 5 6 7 8 9
10 11 12 13 14 15