› Funny Shayari

1  2  3  4  5  6  7  8  9  
10  11  12  13  14  15  

Andaj apna aaine mein dekhte hain vo



Andaj apna aaine mein dekhte hain vo,
or ye bhi dekhte hai ki koi dekhta na ho



Aap k chehre pe udaasi



aap k chehre pe udaasi aankhon mei nami hai….

aap k chehre pe udaaaaaaasi aankhon mei nami hai….

NATIONAL NAMAK istamal karo aap mein IODINE ki kami hai!



Tu yaad aaye to kya karun



Dil se tera khayal na jaye to kya karun,
Tu hi bata tu yaad aaye to kya karun,

Hasrat yehi hai k ek nazar dekh lun tujhe,
Par madari rouz na laye to kya karun.



Hamari yadoon ki khushboo



Kadam kadam pay hawa ki simt ka dihan rakhna,
Mushkil waqt main dosti ko yaad rakhna
“Hamari yadoon ki khushboo zaror aye gi tumhain”
.
.
.
bus apni NAAK SAAF rakhna.



Maine jaise hi use propose kiya



Mere sang bewafapan nibhaya hai usne,
ek sacche aashiq ko ganwaya hai usne,
Maine jaise hi use propose kiya,
Haanth me LOLIPOP thama diya Chusne



Door se dekha to



Door se dekha to Andde ubal rahe thi.
Pass aker dekha to do Ganje uchal rahe thi.



Tera deedaar bar bar ho



Duniya k darr se teri tasveer bathroom mein laga rakhi hai,
Tera deedaar bar bar ho isi liye julab ki goliyan kha rakhi hain!



Pyar nahi to shikayat kiya karo



Bhul se kabhi hame bhi yaad kiya karo,
Pyar nahi to shikayat kiya karo,
itna bhi gair na samjho k baat hi na kiya karo,
phone nahi to sms hi kiya karo



Aap ko ijazat hai rooth jane ki



Aap ko ijazat hai rooth jane ki
Hum ko aadat hai SMS se manane ki
Aap jawab agar na do gay hamare SMS ka
Hum had kar dain gay MISSBELL se satane ki



Lamha Lamha waqt Guzar jaiga



Lamha Lamha waqt Guzar jaiga..

Shaadi k bandhan mai koi Aapko Baandh jaiga..

Abhi bhi waqt hai kisi se koi AFFAIR krlo..

Kya pata kal konsa CARTOON aapka DULHA banajyga



1  2  3  4  5  6  7  8  9  
10  11  12  13  14  15