› Bewafa & Tragedy SMS

1  2  3  4  5  6  7  8  

Jane kis baat ki mujhko saza deta hai



Jane kis baat ki mujhko saza deta hai,
meri hasti hui ankhon ko rula deta hai,
Ek muddat se khabar bhi nahi teri,
koi is tarah bhi kya apne Pyar ko bhula deta hai.



Lamha lamha waqt guzar jayega



Lamha lamha waqt guzar jayega,
Rooh ka daman bhi sath chod jayega,

Abhi waqt hai pal do pal sath guzar lo,
Kal kya pata kon kiski zindgi se chala jayega.



Utra Jo Samandar Mein Darya



Aasan To Nahi Apni Hasti Se Guzar Jana
Utra Jo Samandar Mein Darya ..to Bohat Roya
Jo Shakhs Na Roya Tha Tapti Rahon Mein
Dewaar Ke Saye Mein Baitha To Bohat Roya



Dilagi thi ussay hum say



Dilagi thi ussay hum say mohabbat kub thi,
Mehfil-e-gair say zalim ko fursat kab thi,
Hum heethay mohabbat main lut janay k liye,
Usko hamarey pyaar ki qadar kab thee?



DiL jis ne tora woh



DiL jis ne tora woh aaj khush bohat hai,
Hum pe rahe hain Jam Aur Mdhosh Bohat hain,
Chahtey they Bd-Dua dena Pr Bd-Dua dena Sakay,
Hum be-wafa ko Be-wafaa bhi keh na sake.



Kabhi ansu kabhi khushi bechi



Kabhi ansu kabhi khushi bechi,
hum garibon ne bebasi bechi,
chand sanse hain kharidne ke liye,
roz marti hui zindgi bechi.
Stane lage mujhe jb mere hi saye,
preshan hoke maine roshni bechi.
Ek hum the jo khud hi bik gaye,
vrna logon ne dosti bechi



Hum jee lenge tanha



Khuda hamari tarah tumhe tanhaayi na de,
Hum jee lenge tanha, par tumhe Judai na de,
hamari nigahon mein basi rahe apki soorat,
Aapko bhale hi hum dikhayi na de



Zindagi tu mujh se dagha naa kar



Aye Zindagi tu mujh se dagha naa kar,
Mein Zinda rahu yeh dua naa kar,
Koi dekhta hai meri jaan ko to hoti hai jalan,
Aye Hawa tu bhi usse chua naa kar.



Bun k ahsas meri dharkan k paas



Bun k ahsas meri dharkan k paas rehtay ho,
Tasveer ban k meri aankhon k paas rehtay ho,

Aaj poochtay hain aik sawal tumsay,
kiya door reh ker tum bhi udaas rehtay ho?



Guzre hue wasal ke din raat bhool ja



Guzre hue wasal ke din raat bhool ja
Milne na deinge ab hamein halaat bhool ja

Mausam badal gaye hain zamana guzar gaya
Ae dost tu bhi eid-e-mulaqaat bhool ja



1  2  3  4  5  6  7  8