› Bewafa & Tragedy SMS
1 2 3 4 5 6 7 8Tumharay pyaar main
Tumharay pyaar main ham nay bohot zakham khaye,
Jis ka hisaab na ho sakay utnay dard paaye,
Phir bhi tere pyar ki qasam kha k kehta hon,
Hamaray lab pay tumhare liye sirf pyaar aaye
Aap jo hum say rooth gaye
Qismat rooth gayai,
Dil k taar toot gaye,
Aap jo hum say rooth gaye,
Sapnay bhi saray toot gaye,
Baki rahe khazaney main do ansu,
Yaad aap ki ayai, to woh bhi laut gaye
Maza kis main hai
Na mila dil ka qadardaan is zamanay main,
Yeh sheesha toot gaya hai daikhnay aur dekhanay main,
Gii main aata hai ek roz shamma say pochoon,
Maza kis main hai, jalnay main ya jalanay main…?
Nafratain lak mili koi muhabbat na mili
Nafratain lak mili koi muhabbat na mili
zindagi beet gai par rahat na mili
teri mehfil may har shaks ko hansta deka
ik may tha jisay hansnay ki ijazat na mili
Bohat chaha usee magar
Bohat chaha magar unhain bhula na sakay,
Khayalon main kisi aur ko laa na sakay,
Usko daikh k ansu to poch liye,
Par kisi or ko daikh k muskura na sakay
Barso baad na jaane kaun kaha hoga
barso baad na jaane kaun kaha hoga,
hum dono me se na jaane kaun kaha hoga,
phir milna hua to milenge khwabo me,
jaise sukhe gulab milte hain kitabo me
Ishq ki baazi hum haar gayai
Dilon say khailnay ka hunar hamain aata nahin,
Isi liyay ishq ki baazi hum haar gayai,
Meri zindagi se shayad unhain bohut pyar tha,
Isi liyay mujhey zinda hi maar gayai
Dil ka dard dil main dabaye rakha
Dil ka dard dil main dabaye rakha,
Koi na mila aisa jis pay duniya luta daitay,
Sab nay diya dhooka kis kis ko bhula daite,
Dil ka dard dil main dabaye rakha,
Bayan kia hota to mehfil ko rula daitay
Jane kis baat ki mujhko saza deta hai
Jane kis baat ki mujhko saza deta hai,
meri hasti hui ankhon ko rula deta hai,
Ek muddat se khabar bhi nahi teri,
koi is tarah bhi kya apne Pyar ko bhula deta hai.
Saye ki tarha sath rehne wale
Saye ki tarha sath rehne wale rishta kuck is tarha tod gaye
hakikat me milna mumkin na raha wo to khwabo me bhi aana chod gaye.