›Lyrics Udaas Udaas Fizaaon Mein

Hindi Lyrics:
udaas udaas fizaaon mein noor chhalakaao 
bujhe bujhe hue taaron ko hans ke chamakaao 
gurur-e-husn salaamat na raah dikhalaao 
rabag doob gayaa, khoone ab to a jaao (?) 

aana hi padegaa, aana hi padega 
sar ishq ke kadamon pe jhukaana hi padega 
aana hi padega 

( nagama mera har saans mein ras ghol raha hai 
is saans ke parade mein khuda bol raha hai ) - 2 
chheda hai agar saaz to gaana hi padega - 2 
sar ishq ke kadamon pe jhukaana hi padega 
aana hi padega 
aana hi padega a a 

( tapakega lahu dard bhare raag se kab tak 
khelegi teri mast ada aag se kab tak ) - 2 
is khel mein ab haath jalaana hi padega - 2 
sar ishq ke kadamon pe jhukaana hi padega 
aana hi padega 
aana hi padega a a 

( ulfat kabhi duniya se daregi na dari hai 
phoolon se javani ne sada maang bhari hai ) - 2 
hansane ke liye zakhm to khaana hi padega - 2 
aana hi padega - 4
 

 

picture upload image hosting mobil Mobil New Peak Life 5w50 5w40 5w30 Netbook games games for netbooks