›Lyrics Tuut Gayi Hai Maala Moti Bikhar Chale

Hindi Lyrics:
tuut gayi hai maala
tuut gayi hai maala moti bikhar chale
do din rah kar saath jaane kidhar chale
tuut gayi hai maala

milan ki duniya chhod chale ye aaj birah mein sapane - 2
khoye-khoye nainon mein hain ujade-ujade sapane
ujade-ujade sapane
vyaadh ki gathari liye jhukaaye nazar chale
do din rah kar saath jaane kidhar chale
tuut gayi hai maala

ab to ye jag mein jiyenge aansu pite-pite - 2
jaisi inape biti vaisi aur kisi pe na bite
aur kisi pe na bite
koyi mat puuchho inhein ke ye kis dagar chale
do din rah kar saath jaane kidhar chale
tuut gayi hai maala
moti bikhar chale
do din rah kar saath jaane kidhar chale
 

 

picture upload image hosting mobil Mobil New Peak Life 5w50 5w40 5w30 Netbook games games for netbooks