›Lyrics Tumehn Dil Diya

Hindi Lyrics:
tumhen dil diya 
ye kya kiya main ne  -2 
duniya ka dard le liya main ne 
tumhen dil diya 
ye kya kiya main ne 
duniya ka dard le liya main ne 

kya bhale din the vo  -2 
nazaron mein tum samaaye na the 
kabhi bhari thandi saans nahi thi 
aur aankhon mein aansu aaye na the 
ab roti hoon main  -2 
kya kiya haay! kya kiya main ne 

tumhen dil diya ... 

ab haal ye ho gaye hamaare  -2 
sada bheege rahe nainon ke kinaare 
o jaanevaale main pukaaruun tu ek baar to a  -2 
mere rote hue dil ko ye baat bata 
bhala kiya ya bura kiya 
haay! bura kiya main ne 

tumhen dil diya ...
 

 

picture upload image hosting mobil Mobil New Peak Life 5w50 5w40 5w30 Netbook games games for netbooks