›Lyrics Tum jo aao to pyaar aa jaaye
Hindi Lyrics:Tum jo aao to pyaar aa jaaye Zindagi mein bahaar aa jaaye Kya kahu tumse keh nahi sakta Bin tumhaare main reh nahi sakta Tumko gar aitbaar aa jaaye Zindagi mein bahaar aa jaaye Dil pe mujhko to aitbaar nahi Ye woh shay hai jisse qaraar nahi Dil pe gar ikhtiyaar aa jaaye Zindagi mein bahaar aa jaaye Jab tamanna shabaab par aaye Har taraf ik khumaar sa chhaaye Zah-e-qismat jo yaar aa jaaye Zindagi mein bahaar aa jaaye