›Lyrics Tum Aa Gaye
Hindi Lyrics:(har saans sulajh rahi thi uljhaane ko tum aa gaye jo aag bujh rahi thi bhadkaane ko tum aa gaye) - 4 har kadam par havaa hai kathin waasataa jine kaa hausalaa dard kaa silsilaa saans aazaad hai jinaa dushawaar hai pehele din ke liye bahut pyar hai ye din gin ke jee raha hoon aazamaane tum aa gaye main kab kaa mar chukaa bataane tum aa gaye har saanse sulajh rahi thi uljhaane ko tum aa gaye jo aag bujh rahi thi bhadakaane ko tum aa gaye koi kehtaa yahaa zindagi saj gayi koi kehtaa wahaa zindagi mit gayi ek tamanna yahaa ek tamanna wahaa ek bharosa yahaa aur nafarat wahaa mausam khil rahaathaa dil jalaane tum aa gaye raste pe main chal padaa thaa behkaane tum aa gaye (har saans sulajh rahi thi uljhaane ko tum aa gaye jo aag bujh rahi thi bhadakaane ko tum aa gaye) - 2