›Lyrics Thehre Hue Paani Mein

Hindi Lyrics:
(thehre hue paani mein kankar na maar saanwre 
mann mein hulchul si mach jaayegi baanwre) - 2
thehre hue paani mein kankar na maar 

tere liye hu main anjaani 
mere liye hai tu begana
begaane ne anjaani ka 
dard bhala kaisa pehchana
jo iss duniya ne na jaana 
thehre hue paani mein kankar na maar saanwre 
mann mein hulchul si mach jaayegi baanwre
thehre hue paani mein

sab phoolon ke hai deewane
kaaton se dil kaun lagaye
bhole raahi main hu kaata
kyon apna daaman uljhaaye
rab tujhko kaaton se bachaye
thehre hue paani mein kankar na maar saanwre 
mann mein hulchul si mach jaayegi baanwre
thehre hue paani mein

timhi bataao kaise basegi 
dil ke armaanon ki basti
khwaab adhure reh jaayenge
mit jaayegi inki hasti
chalti nahi hai ret pe kashti 
(thehre hue paani mein kankar na maar saanwre 
mann mein hulchul si mach jaayegi baanwre) - 2
thehre hue paani mein
 

 

picture upload image hosting mobil Mobil New Peak Life 5w50 5w40 5w30 Netbook games games for netbooks