›Lyrics Sajana Sajana Kaahe Bhuul Gaye Din Pyaar Ke

Hindi Lyrics:
sajana sajana kaahe bhuul gaye din pyaar ke
sajana sajana main to haar gayi re pukaarake
sajana ho aa aa

(baithi rahi main sapane sajaake
bindiya lagaake piya mehandi rachaake) - 2
taras na aaya tujhe gaya tadapaake
sajana sajana kaahe

(baat takuun main saanjh savere
auron ki to raatein mere din bhi andhere) - 2
saara jag suuna suuna laage bin tere
sajana sajana kaahe

(duniya ne to dard na jaana
tu bhi huwa hai kaahe mujhase begaana) - 2
aaja re bulaaye tujhe guzara zamaana
sajana sajana kaahe
 

 

picture upload image hosting mobil Mobil New Peak Life 5w50 5w40 5w30 Netbook games games for netbooks