›Lyrics Raakhi Ka Aaya Tyohaar
Hindi Lyrics:raakhi ka aaya tyohaar sakhi raakhi ka aaya tyohaar more bhaiyya jiyen jalen ghar mein diye main usi ke liye baandhu raakhi mein aasha ke taar sakhi raakhi ka aaya tyohaar ... uthe man mein umang jaise saagar mein tarang jaise bagiya mein aayi bahaar sakhi raakhi ka aaya tyohaar ... dekhi duniya ki reet bahan bhai ki preet gaao khushi ke geet more baabul ke ghar ka singhaar sakhi sakhi raakhi ka aaya tyohaar ... yu baandhane ko baandho koi hazaar dhaage lekin hazaar par hain raakhi ke chaar dhaage chaar dhaagon mein bandha hai pyaar sakhi raakhi ka aaya tyohaar