›Lyrics Raakhi Dhaagon Ka Tyauhaar
Hindi Lyrics:raakhi dhaagon ka tyauhaar -2 bandha hua ik-ik dhaage mein bhaayee-bahan ka pyaar raakhi dhaagon ka ... kitna komal kitna sundar bhai-behan ka naata is naate ko yaad dilaane ye tyauhaar hain aata behan ke man ki aashaayen raakhi ke ye taar raakhi dhaagon ka ... behan kahe mere veer tujhe na buri najariya laage mere raaja bhaiyya tujhko meri umariya laage dhan hu paraaya phir bhi milungi saal mein to ik baar raakhi dhaagon ka ... bhai kahe o behan main teri laaj ka hu rakhwala gunthunga main pyaar se tere armaanon ki maala bhaai-bahan ka pyaar rahega jab tak hain sansaar raakhi dhaagon ka ...