›Lyrics Preet Lagaa Ke

Hindi Lyrics:
preet lagaa ke mein ne yeh phal paayaa
sud budh khoyi, chain gawanyaa

tum ne mujh se pyaar kiyaa thaa
ulfat kaa iqaraar kiyaa thaa
apnaa banaa ke pahele ye bisaraayaa
preet kaa waa' daa khub nibhaayaa

aa ke jo dekhen tu dukh mere
kyaa na bahenge aansoo tere
dukh de mujh ko, tune kyaa sukh paayaa
tujh ko bedardi reham na aayaa

ek jhalak phir se dikhlaa de
khwaab mein aa kar itnaa bataa de
jyot bujhaa kar in nayanon ki
kis ke man kaa deep jalaaya

preet lagaa ke mein ne yeh phal paayaa
sud budh khoyi, chain gawanyaa

Posted By: Purnima
 

 

picture upload image hosting mobil Mobil New Peak Life 5w50 5w40 5w30 Netbook games games for netbooks