›Lyrics O Mere Shaah-E-Khooban
Hindi Lyrics:o mere shaah-e-khoobaan, o meri jaan-e-janaana tum mere paas hote ho, koi doosra nahi hota kab khayaalon ki dhoop dhalti hai har kadam pe shama si jalti hai mera saaya jidhar bhi jaata hai teri tasveer saath chalti hai o mere shaah-e-khoobaan ... tum ho sahara mein tum gulistaan mein tum ho zarron mein tum bayaanbaan mein main ne tum ko kahaan kahaan dekha choop ke rahate ho tum rag-e-jaan mein o mere shaah-e-khoobaan ... meri aankhon ki justaju tum ho iltaja tum ho aarzu tum ho main kisi aur ko to kya jaanu meri ulfat ki aabaru tum ho o mere shaah-e-khoobaanthreedots