›Lyrics Nazar Phero Na Hamse
Hindi Lyrics:ji : nazar phero na hamse ham hain tum par marne waalon mein nazar phero na hamse -2 ham hain tum par marne waalon mein hamara naam bhi likh lo mohabbat karne waalon mein -2 sha : ( jahaan nazaren mili bole ke ham hain marne waalon mein ) -2 banaawat hi banaawat hai mohabbat karne waalon mein -2 ji : o tumhari shokiyon ko dil mera naakaam kar dega aan suna kar pyar ke nagmein tumhein badnaam kar dega haan aji ye dil nahi chhip-chhip ke aahen bharne waalon mein hamara naam bhi likh lo mohabbat karne waalon mein -2 sha : wahi dil hai jo is duniya mein apna naam kar jaaye mohabbat kya karega wo jo badnaami se dar jaaye haan nahi ham aapki in dhamkiyon se darne waalon mein banaawat hi banaawat hai mohabbat karne waalon mein -2