›Lyrics Na Phoolon Ki Duniya

Hindi Lyrics:
aa aa aa 

na phoolon ki duniyaa, na taaron ki duniya 
ye hai bas khayaal-e-bahaaron ki duniya 

yahaan mast nazarein behakne ko tarse 
umangon bhare dil dhadakne ko tarse 
ye hai pyaar ke besahaaron ki duniya 

yahaan gam hai laakhon, masarrat nahi hai 
tadapne ki lekin ijaazat nahi hai 
ye hai ishq ke beqaraaron ki duniya 

na phoolon ki duniyaa, na taaron ki duniya 
ye hai bas khayaal-e-bahaaron ki duniya 

aa aa aa 

paayaliya baawari baaje 
paayaliya mori jhanan jhanan 
jhan jhananan baaje aa aa 
paayaliya baawari baaje ... 

aa aa aa 

aaj sakhi more pee ghar aaye, aa aa aa 
aaj sakhi more pee ghar aaye 
dekh-dekh chhab jiyara jaaye 
baar baar mora mann lehraaye 
paayaliya baawari baaje ... 

saat suron ke deep jalaake, aa aa aa 
saat suron ke deep jalaake 
prem been ki dhun par gaake 
aaj naachun main piya ko paake 
paayaliya baawari baaje ... 

aa aa aa
 

 

picture upload image hosting mobil Mobil New Peak Life 5w50 5w40 5w30 Netbook games games for netbooks