›Lyrics Meri Yaad Mein

Hindi Lyrics:
Meri yaad mein tum na, aansoo bahaana
Na jee ko jalaana, mujhe bhool jaana
Samajhna ke tha ek, sapna suhaana
Woh guzra zamaana, mujhe bhool jaana
Meri yaad mein

Juda meri manzil, juda teri raahen -2
Milengi na ab teri meri nigaahen
Mujhe teri duniya se, hai door jaana
Na jee ko jalaana, mujhe bhool jaana
Meri yaad mein

Yeh ro ro ke kehta hai, toota hua dil -2
Nahin hoon main eri mohabbat ke kaabil
Mera naam tak apne, lab pe na laana
Na jee ko jalaana, mujhe bhool jaana
Samajhna ke tha ek, sapna suhaana
Woh guzra zamaana, mujhe bhool jaana
Meri yaad mein
 

 

picture upload image hosting mobil Mobil New Peak Life 5w50 5w40 5w30 Netbook games games for netbooks