›Lyrics Maula - Yahaan Bhi Tu

Hindi Lyrics:
yahaan bhi tu wahaan bhi tu zameen teri falak tera
kahi hamne pata paaya naa hargis aajtak tera
maula ...

patta sukha daal daal par patjhad aandhi sab haare
ek samay jo chaanv tha deta aaj wohi kyon tarsaaye
patta sukha daal daal par patjhad aandhi sab haare
ek samay jo chaanv tha deta aaj wohi kyon tarsaaye
maula 

maula
yeh kaun jaane kal kiya kya maula jo maalik woh kya karega
kise bigaade kise sanwaare kise lutaawe kise bharega
kisike darr kaunsa jiyega kisike bhar kaunsa uthega
kisiko hargiz khabar nahi hai ke kya kiya aur woh kya karega
maula ve...
maula - 2

ho ho ek hai saagar ek hai nadiya ek hai aansu ka qatra
lekin iss qatre ke andar nadiya saagar sab behta
ho ho ek hai saagar ek hai nadiya ek hai aansu ka qatra
lekin iss qatre ke andar nadiya saagar sab behta
maula...
 

 

picture upload image hosting mobil Mobil New Peak Life 5w50 5w40 5w30 Netbook games games for netbooks