›Lyrics Masti Mein Ched Ke
Hindi Lyrics:ho ho, o ho ho ho ho, la la la la la la la la la la, o ho ho ho ho, (masti mein chheDke taraanaa koi dil kaa aaj luTaayegaa khazaanaa koi dil kaa ) -2 pyaar bahaltaa nahin bahlaane se -2 lo main chaman ko chalaa veeraane se shamaa hai kab se judaa parvaane se ashq thamenge nazar mil jaane se dil se milegaa deevaanaa koi dil kaa aaj luTaayegaa khazaanaa koi dil kaa masti mein chheDke... milke vo pahle bahut sharmaayegi -2 aage baDhegi magar ruk jaayegi hoke kareeb kabhi ghabraayegi aur kareeb kabhi khinch aayegi khel nahin hai manaanaa koi dil kaa aaj luTaayegaa khazaanaa koi dil kaa masti mein chheDke... mukhDe se zulf zaraa sarkaaooNgaa haay, mukhDe se zulf zaraa sarkaaooNgaa suljhegaa pyaar ulajh main jaaooNgaa paake bhi haay bahut pachhtaaooNgaa aisaa suqoon kahaaN phir paaooNgaa aur nahin hai Thikaanaa koi dil kaa aaj luTaayegaa khazaanaa koi dil kaa masti mein chheDke... aa haa haa haa haa haa haa, haa haa haa haa o ho ho ho ho ho ho, ho ho ho ho