›Lyrics Laaree Chhooti.... Kya Huva Jo Laaree Chhooti
Hindi Lyrics:woh kehte hai na jo hota hai achche ke liye hota hai galat kehte hai kismat ka khel hai saara phirta tha main aawaara yeh kya se kya ho gaya chaar din ki zindagaani har pal ek nayi kahaani kya tha, main kya bana gaya kya huva jo laaree chhooti jivan ki gaadi looti kwaab hai toh mujhko na jaga zindagi ek pal mein saali yuun palat gayi hamaari zhoot hai toh mujhko na bata mumbai, suna tha yahaan aadami puri zindagi apani kismat slow track se fast track laane mein nikaal deta hai par dhaayi ghante mein meri kismat aise slow track se fast track par aa jaayegi yeh maine kabhi socha nahi tha saja maja ban jaayegi, yeh bhi kabhi socha nahi tha last local kya chhuti, saala kismat patari par aa gayi karlo jo bhi karna hai hota hai jo hona hai gujra toh pal yeh phir na aayega kya bura hai kya bhala hai waqt hi shaayad khuda hai ho jaane do phir dekha jaayega kya huva jo laaree chhooti jivan ki gaadi looti kwaab hai toh mujhko na jaga zindagi ek pal mein saali yuun palat gayi hamaari zhoot hai toh mujhko na bata woh kehte hai na jo hota hai achche ke liye hota hai sahi kehte hai jivan ki gaadi looti