›Lyrics Khabardaar - Maut Ka Zaayeka

Hindi Lyrics:
maut maut maut 
khabardaar
maut ka zaayeka...
hota hain mazedaar
maut ka zaayeka
hota hain mazedaar
maut bhi sabko yaha milti hai ek baar
tu jee ke dikha de ya marr ke dikha de 
karna hain jo tujhko woh karke dikha de
jeena yaha sau baar marna ek baar
khabardaar - 4
khabardaar

teri adaa duniya se judaa
jitni bhi chahe masti luta
teri adaa duniya se judaa
jitni bhi chahe masti luta
jaan hatheli pe rakh de 
teri jawani hain ek mazaa
tu kya hain yeh bata duniya ko yeh dikha
tere jaisa na yaha hain koi dusra 
dam nikal jaayega sabka tu hain jaandaar
khabardaar - 4
khabardaar

ek raat ka hain yeh jalwa
kya hain bharosa kal ka
ek raat ka hain yeh jalwa
kya hain bharosa kal ka
yeh zindagi hai ek dilruba
yeh zindagi hai ek bewafa
nazron ke teer se tu bach na paayega
aayega jaal mein toh fasta jaayega
teri himmat ke iraade sab hain shaandaar
khabardaar - 4
khabardaar

maut ka zaayeka
hota hain mazedaar
maut bhi sabko yaha milti hai ek baar
tu jee ke dikha de ya marr ke dikha de 
karna hain jo tujhko woh karke dikha de
jeena yaha sau baar marna ek baar
khabardaar - 4
khabardaar
 

 

picture upload image hosting mobil Mobil New Peak Life 5w50 5w40 5w30 Netbook games games for netbooks