›Lyrics Kayi Din Se Ji Hain Bekal

Hindi Lyrics:
kai din se ji hai bekal 
ai dil ki lagan ab le chal 
mujhe bhi vahaan mere piya hai jahaan 

bichhadi nazar nazar se to bechain ho gayi 
aaise laga ke jaise koi cheez kho gayi 
ab unke bina hu aaise 
jaise naina bin kaajal 
kayi din se ... 

aati hain unke pyaar ki maujen machal-machal 
kab tak kahungi dil se main apne sambhal-sambhal 
ja des piya ke udd ja tu man ke panchhi ghaayal 
kayi din se ... 

aayi jo unki yaad to saansen mehak gayi 
aankhon mein bijaliyaan si hazaaron chamak gayi 
jis or uthi ye nazaren laharaayi pyaar ke baadal 
kayi din se ...
 

 

picture upload image hosting mobil Mobil New Peak Life 5w50 5w40 5w30 Netbook games games for netbooks