›Lyrics Kasme waade pyaar wafaa sab

Hindi Lyrics:
Koyi kisi ka nahi ye jhoothhe, 
Naate hain naato ka kya
Kasme waade pyaar wafaa sab,
Baatein hain baato ka kya

Hoga masiha ...
Hoga masiha saamne tere, 
Phir bhi na tu bach paayega
Tera apna…
Tera apna khoon hi aakhir tujhko aag lagaayega
Aasmaan mein ...
Aasmaan me udne waale mitti mein mil jaayega
Kasme waade pyaar wafaa sab, baatein hain baato ka kya

Sukh mein tere ...
Sukh mein tere saath chalenge,
Dukh mein sab mukh modenge
Duniya waale ...
Duniya waale tere bankar tera hi dil todenge
Dete hain ...
Dete hain bhagwaan ko dhokha,
Insaan ko kya chhodenge
Kasme waade pyaar wafaa sab,
Baatein hain baato ka kya
 

 

picture upload image hosting mobil Mobil New Peak Life 5w50 5w40 5w30 Netbook games games for netbooks