›Lyrics Kachchi Hai Umariya Kori Hai Chunariya
Hindi Lyrics:kachchi hai umariya, kori hai chunariya mohe bhi rang deta ja mohe bhi rang deta ja more sajana mohe bhi rang deta ja pag mori bahake ang mori dahake kabhi to sudh leta ja kabhi to sudh leta ja more sajana kabhi to sudh leta ja agan lagaaye lagan lagaaye ye madamaati ghadiyaan ye madamaati ghadiyaan tan bhi sambhaala mann bhi sambhaala sambhale na nainon ki jhadiyaan sambhale na nainon ki jhadiyaan gaayein mori sakhiyaan roye mori akhiyaan kabhi to sudh leta ja kah bhi na paayuun rah bhi na paayuun prit ka dard chhupaake prit ka dard chhupaake rang ras barase, jiya mora tarase tapan bujha ja aa ke tapan bujha ja aa ke chaahe kaun sukh hai mohe tera dukh hai kabhi to sudh leta ja