›Lyrics Kabhi Hothon Se

Hindi Lyrics:
kya hai is baansuriya mein jo mujhmein nahi saanvariya 
kabhi honthon se mujhe bhi laga le 
baansuri banaai ke ho baansuri banaai ke 
main to gaau tere geet mere meet 
saare jag ko bhulaai ke 
kabhi honthon se ... 

tore sang neha laaga tore rang raati 
ban-ban dvaare-dvaare phiru madmaati 
tujhmein hi sama gayi main tere paas aai ke 
kabhi honthon se ... 

saara jag jaan gaya raadha bhai shyaam ki 
chhede tera naam leke sakhiyaan saare gaanv ki 
ho chhaliya tune sudh na leeni baavari banaai ke 
kabhi honthon se ...
 

 

picture upload image hosting mobil Mobil New Peak Life 5w50 5w40 5w30 Netbook games games for netbooks