›Lyrics Jo Pyar Tumne

Hindi Lyrics:
Jo pyaar tumne mujhse kiya hai
O, jo pyaar tumne mujhse kiya hai
Kya naam tumne usko diya hai

Pyaar to ek anjaana ehsaas hai
Jo na bujhke bujhe yeh voh pyaas hai
Tum nazar se mohabbat ka paigaam do
Pyaar ko jaaneman pyaar ka naam do
Pyaar ka naam do, pyaar ka naam do

Tanhaaiyaan thi is zindagi mein
Aansoo bhare the meri khushi mein
Sehra bichha tha ek dard ka

Tera soona sa jeevan sajaaoonga main
Teri raahon mein khushiyaan bichhaaoonga main
Sangdil is jahan ko dikhaaoonga main
Yeh kasam li hai vaada nibhaaoonga main
Nibhaaoonga main, nibhaaoonga main

Jo pyaar tumne mujhse kiya hai
Kya naam tumne usko diya hai

Ho, jo pyaar maine tumse kiya hai
Bas pyaar ka naam usko diya hai

Dil ko umangon se bhar diya hai
Na jaane tumne kya kar diya hai
Sach lag raha hai sapna mera

Rang laayi sanam meri deewaangi
Dillagi ban gayi aaj dil ki lagi
Bevaja hi nahin pyaar mein bekhudi
Yeh hai jaadu mera ae mere hamnasheen
Ae mere hamnasheen, ae mere hamnasheen

Jo pyaar tumne mujhse kiya hai
Kya naam tumne usko diya hai

Pyaar to ek anjaana ehsaas hai
Jo na bujhke bujhe yeh voh pyaas hai
Tum nazar se mohabbat ka paigaam do
Pyaar ko jaaneman pyaar ka naam do
Pyaar ka naam do, pyaar ka naam do

Haan, jo pyaar tumne mujhse kiya hai
Kya naam tumne usko diya hai

Ho, jo pyaar maine tumse kiya hai
Bas pyaar ka naam usko diya hai
 

 

picture upload image hosting mobil Mobil New Peak Life 5w50 5w40 5w30 Netbook games games for netbooks