›Lyrics Jis Din Se Juda Woh Hamse Huye
Hindi Lyrics:Woh mera rounake mehfil kahaan hai meri bijali mera haasil kahaan hai Mukaam uska hai dil ki khalbaton mein khuda jaane mukaame dil kahaan hai Jis din se juda woh hamse huye (is dil ne dhadakna chhod diya) - 2 Hai chaand ka mooh utaraa utaraa (taaron ne chamakna chhod diya) - 2 Woh paas hamaare rehte the berut bhi bahaar aa jaati thi - 2 (Ab lakh bahaare aaye to kya) - 2 (phoolon ne mehakana chhod diya) - 2 Hai chaand ka mooh utara utara taaron ne chamakana chhod diya Is dil ne dhadakna chhod diya Humarah koi saathi bhi nahi ab yaad koi baaki bhi nahi - 2 (Ab phool khile jakhamo ke kya) - 2 (aankhon ne barasana chhod diya) - 2 Hai chaand ka mooh utara utara taaron ne chamakana chhod diya Is dil ne dhadakna chhod diya Humane ye duva jab thi maangi takdir badal de ye maalik - 2 (Aawaaz aayi ki ab hamane) - 2 (takdir badalana chhod diya) - 2 Hai chaand ka mooh utara utara (taaron ne chamakana chhod diya) - 2 (Jis din se juda woh hamase huye (is dil ne dhadakana chhod diya) - 2) - 2