›Lyrics Jahaan Men Aayi Deewaali
Hindi Lyrics:Jahaan Men Aayi Deewaali Bade Charaagh Jale Hamaare Dil Men Tere Gham Ke Daagh Jale Qadam Qadam Pe Charaaghon Ka Aaj Mela Hai Bujha Hua Mere Dil Ka, Diya Akela Hai Kabhi Na Aise Kisi Ki Khushi Ka Baagh Jale Hamaare Dil Men Tere Gham Ke Daagh Jale... Ajeeb Rang Liye Ab Ke Aayi Deewaali Kisi Ne Ghar Ko Jala Ke Manaayi Deewaali Udhar Charaagh, Idhar Dil Ka Daagh-Daagh Jale Hamaare Dil Men Tere Gham Ke Daagh Jale... Zamin Pe Utara Hua Qaafila Sitaaron Ka Dilaaye Yaad Sama, Pyaar Ki Bahaaron Ka Jo Tum Nahin Ho To Kaise, Mera Charaagh Jale Hamaare Dil Men Tere Gham Ke Daagh Jale... Jahaan Men Aayi Deewaali Bade Charaagh Jale Hamaare Dil Men Tere Gham Ke Daagh Jale [ Jahaan Men Aayi Song Lyrics ]