›Lyrics Hum Jaise Tanha
Hindi Lyrics:Jo puchhata hai koi surkh kyon hai aaj aankhen To aankh malke main kehta hoon raat so na saka Hazaar chaahu magar ye na keh sakunga kabhi Ke raat rone ki khwahish thi magar ro na saka Hum jaise tanha logon ka ab rona kya muskaana kya - 2 Jab chaahanewala koi nahi - 2 phir jeena kya mar jaana kya Hum jaise tanha logon ka ab rona kya muskaana kya Sau rang mein jisko socha tha, sau roop mein jisko chaaha tha - 2 Sau roop mein jisko chaaha tha Wo jaane ghazal to rooth gayi ab uska haal sunaana kya - 2 Jab chaahanewala koi nahi - 2 phir jeena kya mar jaana kya Hum jaise tanha logon ka ab rona kya muskaana kya Aawaaz kisiko de lekin ek naam tumhara honton par - 2 Ek naam tumhara honton par Har shakal se ubharo tum hi tum yu khud ko magar behalaana kya - 2 Jab chaahanewala koi nahi - 2 phir jeena kya marr jaana kya Hum jaise tanha logon ka ab rona kya muskaana kya Raaaton ka safar hai din ke liye aur dil mein tamanna raaton ki - 2 Aur dil mein tamanna raaton ki Jab paon mein raaste kho jaaye phir rukna kya ghar jaana kya - 2 (Jab chaahanewala koi nahi - 2 phir jeena kya mar jaana kya Hum jaise tanha logon ka ab rona kya muskaana kya) - 2