›Lyrics Hawa Uda Kar Laayi

Hindi Lyrics:
( hawa uda kar laayi saawan ke sapane 
ho dil laga tadapane 
ho aa ja saajan apane )  -2 

(palkon ne hain pankh phailaaye 
door nagariya ud-ud jaaye )  -2 
beete din yaad dilaaye 
meri ulajhi lat ne 
ho dil laga tadapane 
ho a ja saajan apane 

( lo ghata ke bikhare-bikhare gesu 
kaise karoon main dil par qaabu )  -2 
ab phoolon se bhanwara bhi 
aaya hai lipatane 

ho dil laga tadapane 
ho a ja saajan apane 

( mahaki hawaayen mast bahaaren 
jhoom-jhoom ke tujhe pukaaren )  -2 
paanvon ko choom kar paayal 
ab lagi chhalakane 

ho dil laga tadapane 
ho a ja saajan apane 
hawa uda kar laai saawan ke sapane 
ho dil laga tadapane 
ho a ja saajan apane
 

 

picture upload image hosting mobil Mobil New Peak Life 5w50 5w40 5w30 Netbook games games for netbooks