›Lyrics Hamsafar Saath Apana Chhod Chale

Hindi Lyrics:
Rafi: hamsafar saath apnaa chhod chale
rishte naate who saare toD chale

Aasha: hamsafar saath apnaa chhod chale
hamsafar saath….

Rafi: raastaa saaf thaa to chalte rahein
saath hanste rahe machalte rahein
moD aayaa to munh ko moD chale
hamsafar saath….

Aasha: sapane tuTe paDe hai raahon mein
dard ki dhul hai nighaahon mein
dil pe qadamon ke nishaan chhod chale
hamsafar saath….

Rafi: jab unhe ham se pyaar hi na rahaa
roye kyaa, intezaar bhi na rahaa
ham bhi daaman ko ab nichod chale
hamsafar saath….

Posted By: Purnima
 

 

picture upload image hosting mobil Mobil New Peak Life 5w50 5w40 5w30 Netbook games games for netbooks