›Lyrics Hamari Dhadkan Mein Uski Dhadkan

Hindi Lyrics:
(Hamari Dhadkan Mein Uski Dhadkan 
Woh Dil Mein Dil Banke Dhal Rahi Hain) - 2
Hawa Ke Jhonko Ki Tarah Aakar 
Hamari Duniya Badal Rahi Hain
Hamari Dhadkan Mein Uski Dhadkan 
Woh Dil Mein Dil Banke Dhal Rahi Hain

[ Hamari Dhadkan Mein Uski Dhadkan Song Lyrics  ]

Mili Thi Kal Jo Woh Ek Ladki
Tha Roop Uska Toh Chalka Chalka
Thi Palkein Uski Jhuki Jhuki Si
Jara Sa Aanchal Tha Dhalka Dhalka
Usi Ke Jadoo Se Aaj Pal Pal - 2
Yeh Saans Har Pal Machal Rahi Hain
Hamari Dhadkan Mein Uski Dhadkan 
Woh Dil Mein Dil Banke Dhal Rahi Hain

Jahaan Bhi Dekhu Najar Woh Aaye 
Woh Meri Hain Par Nazar Churaye
Woh Banke Khushbu Woh Banke Titli
Hamare Dil Mein Chali Bhi Aaye
Usi Ke Aane Se Aaj Har Pal - 2
Khushi Labo Par Machal Rahi Hain
Hamari Dhadkan Mein Uski Dhadkan 
Woh Dil Mein Dil Banke Dhal Rahi Hain
Hawa Ke Jhonko Ki Tarah Aakar 
Hamari Duniya Badal Rahi Hain
Hamari Dhadkan Mein Uski Dhadkan 
Woh Dil Mein Dil Banke Dhal Rahi Hain

[ Hamari Dhadkan Mein Uski Dhadkan Song Lyrics  ]
 

 

picture upload image hosting mobil Mobil New Peak Life 5w50 5w40 5w30 Netbook games games for netbooks