›Lyrics Ham The Tumhare
Hindi Lyrics:ham the tumhare tum the hamaare haaye vo bhi zamaana yaad karo dil ko laga ke ham se aankhen chura ke door gae ho jab se aaye na ja ke chhupake jahaan par milte ham tum haaye vo bhi thikaana yaad karo ham the tumhare ... khel nahi hai koi dil ka lagaana dekho vo baaten kaheen bhool na jaana teer chale the nazaron ke jis par haaye vo bhi nishaana yaad karo ham the tumhare ... haathon mein a ke daaman chhoot na jaayen yeh do dilon ke rishate toot na jaayen dil se kabhi jo dil ne kaha tha haaye vo bhi fasaana yaad karo ham the tumhare ...