›Lyrics Ham Bhi Mit Jaate Koyi Zakm-E-Tamanna Ban Kar
Hindi Lyrics:ham bhi mit jaate koyi zakm-e-tamanna ban kar kaash aati na teri yaad masiha ban kar dil ki har aag bujhaane ko teri yaad aayi kabhi qatara kabhi shabanam kabhi dariya ban kar raasta bhuul gayi yaad kisi ki warana ham garibon ke ghar aati na ujaala ban kar jab chale dasht ki jaanib to ye dekha hamane saamane yaad khadi thi teri laila ban kar