›Lyrics Haay Qurbaan Jaaun

Hindi Lyrics:
pehle mile the sapanon mein, aur aaj saamne paaya 
haai qurbaan jaau 
tum sang jeevan aaise katega jaise dhoop-sang chhaaya 
haay qurbaan jaau

aai saanvali haseena dil mera toone cheena 
madhosh manzilon par toone sikhaaya jeena 
ek jhalak se mera muqaddar toone aaj chamkaaya 
haai qurbaan jaau ... 

zulfein jo munh pe daalo to din mein shaam kar do 
aur benakaab niklo to qatl-e-aam kar do 
vo hi bachega jisko milega tere pyaar ka saaya 
haay qurbaan jaau ... 

gar jhoomke chalo tum aye jaan-e-zindagaani 
patthar ka bhi kaleja ho jaaye paani-paani 
gore badan par kaala aanchal aur rang le aaya 
haay qurbaan jaau ...
 

 

picture upload image hosting mobil Mobil New Peak Life 5w50 5w40 5w30 Netbook games games for netbooks