›Lyrics Gori Bulaye Tera Saanvariya

Hindi Lyrics:
gori bulaaye tera saanvariya 
manaaye tera saanvariyaa, maan bhi ja 
tere bina o gori kaise baajegi mori baansuriyaa, 
manaaye tera saanvariyaa, maan bhi ja 

ruk ja o jaanewale, dil tadpanewali 
tod ke kisi ka dil jaana hai bura 
itna bhi maan kaisa, roop ka gumaan kaisa 
dekho ji yah baan chalaana hai bura 
baali umar tu hai baanvariya, 
manaaye tera saanvariyaa, maan bhi ja 

chhod bhi de zid raani, baat jo na meri maani 
ik din tujhe pachatana padega 
akhiyaan jhukaaye hue, mukhda chupaaye hue 
haar tujhe maan ke bhi aana padega 
baaje sada hi teri jhanjhariya 
manaaye tera saanvariyaa, maan bhi ja 

gori bulaaye tera saanvariya 
manaaye tera saanvariyaa, maan bhi ja 
tere bina o gori kaise baajegi mori baansuriyaa, 
manaaye tera saanvariyaa, maan bhi ja
 

 

picture upload image hosting mobil Mobil New Peak Life 5w50 5w40 5w30 Netbook games games for netbooks