›Lyrics Dil Jalega To Zamane Mein

Hindi Lyrics:
dil jalega to zamaane mein ujaala hoga  -2 
husn zarron ka sitaaron se niraala hoga 
dil jalega ... 

kaun jaane ye mohabbat ki saza hai ke sila  -2 
ham kinaare pe bhi pahunche to kinaara na mila 
bujh gaya chaand kisi dard bhare dil ki tarah  -2 
raat ka rang abhi aur bhi kaala hoga 
dil jalega ... 

dekhana roegi fariyaad karegi duniya  -2 
ham na honge to hamein yaad karegi duniya 
apane jeene ki ada bhi hai anokhi qad (??) ke  -2 
apane marane ka bhi andaaz niraala hoga 
dil jalega to zamaane mein ujaala hoga 
dil jalega ...
 

 

picture upload image hosting mobil Mobil New Peak Life 5w50 5w40 5w30 Netbook games games for netbooks