›Lyrics Deewaron Ka Jungle
Hindi Lyrics:deewaaron ka jungle jiska aabaadi hai naam baahar se chup-chup lagta hai andar hai koharaam deewaaron ke is jangal mein bhatak rahe insaan apne-apne ulajhe daaman jhatak rahe insaan (apni vipada chodke aaye)-2 kaun kisi ke kaam baahar se chup-chup lagta hai andar hai kohraam (seene kaali aankhen sooni cheharon par hairaani) -2 jitne ghane hangaame ismein utni ghani veeraani (raaten kaali subahen mujrim) -2 mulzim hai har shaam baahar se chup-chup lagta hai andar hai koharaam