›Lyrics Badle Hain Waqt

Hindi Lyrics:
ta ra ra 
yaaron jo kal the ham tum vo kal na ham rahenge 
badle hai waqt pal pal badle hai rang zamaana 
yaaron jo kal the ... 

ye nain bahaaren khile khile kanval 
pyaas ye jawaan geet ye gazal 
in pe bandishen na lagaaiye 
inko chuumiye paas aaiye 
paas to aaiye 
inke bina hai suna duniya ka aashiyaana 
badale hai waqt ... 

rang rang ke hain phool yahaan 
ek si mahak chaahen ho jahaan 
manzil hai ek kaafile hazaar 
ek hi suruur ek hi khumaar 
ek hi hai khumaar 
is pyaar ke mahal mein sabka hai aana jaana 
badle hai waqt ... 

are pankh hain lage insaan mein 
ghumta hai vo aasmaan mein 
jo gai sadi vo tumhaari hai 
aa rahi hai jo vo hamaari hai 
vo hamaari hi hai 
aati hui subah par na taano aashiyaana 
badale hai waqt ...
 

 

picture upload image hosting mobil Mobil New Peak Life 5w50 5w40 5w30 Netbook games games for netbooks