›Lyrics Ae Dil-E-Awara Chal

Hindi Lyrics:
O o o o, ae dil-e-awara chal
Ae dil-e-awara chal
Phir wahin dobaara chal
Yaar ne deedaar ka wadaa kiya hai
O o o o, ae dil-e-awara chal
Phir wahin dobaara chal
Yaar ne deedaar ka wadaa kiya hai
O o o o, ae dil-e-awara chal

Woh unki betaabi, woh unka chalna chhamse
Anchal thaama to hanske, kahaa phir milne ko hamse
Unse, hamse, sun ae dil pyaar ka ikraar ka aankhon mein hua hai
O o o o, ae dil-e-awara chal

Khatti ho ya meethi, ab un aankhon se peena
Jeete hain chaahat wale, bina chaahat ke kya jeena
Chalte, phirte, sun ae dil chaah mein ab aah bharneka mazaa hai
O o o o, ae dil-e-awara chal

(Chamka hai ik mukhda, kuchh zulfen hai lehrayi
Din phir gaye apne din ke, gayi raaton ki tanhayi) -2
Jahan woh, wahan ham, sun ae dil chain se bechain tu kyun ho raha hai
O o o o, ae dil-e-awara chal
Phir wahin dobaara chal
Yaar ne deedaar ka wadaa kiya hai
O o o o, ae dil-e-awara chal
 

 

picture upload image hosting mobil Mobil New Peak Life 5w50 5w40 5w30 Netbook games games for netbooks