›Lyrics Achha Ye Mohabbat Ka Asar
Hindi Lyrics:achchha ye mohabbat ka asar dekh raha hoon tum hi nazar aate ho jidhar dekh raha hoon kaabe ki zaroorat hai na butakaane ki kwaahish jis simt dikhaate ho udhar dekh raha hoon ye hai kashish-e-husn ki hai hasarat-e-deedaar taaqat nahi baaqi hai magar dekh raha hoon kam-kam sa hua jaata hai taaron ka jhalakana aane ko hai paigaam-e-sahar dekh raha hoon