›Lyrics Achara Mein Phulwa Layi

Hindi Lyrics:
achara mein phulwa layi ke 
aaye re ham tohare dwaar 
are ho hamri arzi na sun le 
arzi pe kar le na bichaar 
hamse rooth le bidhaata hamaar 
kaahe rooth le bidhaata hamaar 

bade hi jatan se ham ne pooja ka thaal sajaaya 
preet ki baati jodi manva ka diyara jalaaya 
hamre man mohan ko par nahi bhaaya 
are ho rah gayi pooja adhoori 
mandir se diya re nikaal 
hamse rooth le bidhaata hamaar ... 

sone ki kalam se hamari kismat likhi jo hoti 
mol laga ke lete ham bhi man chaaha moti 
ek prem deewani haay aaise to na roti 
are ho itna duhkh to na hota 
paani mein jo dete hamein daar 
hamse rooth le bidhaata hamaar ...
 

 

picture upload image hosting mobil Mobil New Peak Life 5w50 5w40 5w30 Netbook games games for netbooks