›Lyrics Aayee Ab Ki Saal Diwali

Hindi Lyrics:
Aayee Ab Ki Saal Divaali Munh Par Apne Khoon Male 
Aayee Ab Ki Saal Divaali 
Chaaron Taraf Hai Ghor Andheraa Ghar Mein Kaise Deep Jale 
Aayee Ab Ki Saal Divaali

[ Aayee Ab Ki Saal Diwali Song Lyrics  ]

Baalak Tarse Phuljhadiyon Ko, (Deepon Ko Deevaaren -2)
Maan Ki Godi Sooni Sooni, (Aangan Kaise Sanvaare -2)
Raah Mein Unki Jaao Ujaalon Ban Mein Jinki Shaam Dhale 
Aayee Ab Ki Saal Divaali 

Jinke Dam Se Jagmag Jagmag (Karti Thi Ye Raaten -2)
Chori Chori Ho Jaati Thi (Man Se Man Ki Baaten -2)
Chhod Chale Vo Ghar Mein Amaavas, Jyoti Lekar Saath Chale 
Aayee Ab Ki Saal Divaali

Tap-Tap Tap-Tap Tapke Aansoo, (Chhalki Khaali Thaali -2 )
Jaane Kyaa Kyaa Samjhaati Hai (Aankhon Ki Ye Laali -2)
Shor Machaa Hai Aag Lagi Hai Katte Hain Parvat Pe Gale 
Aayee Ab Ki Saal Divaali Munh Par Apne Khoon Male
Chaaron Taraf Hai Ghor Andheraa Ghar Mein Kaise Deep Jale 
Aayee Ab Ki Saal Divaali

[ Aayee Ab Ki Saal Diwali Song Lyrics  ]
 

 

picture upload image hosting mobil Mobil New Peak Life 5w50 5w40 5w30 Netbook games games for netbooks